Friday, January 6, 2012

Zindagi ki raah mey

Zindagi ki raah mey, khud ko talaashna hai,

Aansoo oy key dariya tale, humko sukoon paana hai.

Chahey kuch bhi ho jay par,

Is koshish mey nahi haarna hai.


Pal-do-pal ke liya hi sahi, ek saaya to aaya tha,

Jisney jeeney ka matlab seekha key hamey, apna banaya tha,

Jab raat hui wo saaya gaya, jaatey-jaatey yeh sikhla gaya,

Ki khushiyan to aayengi-jaayngei,

Ghum hi ko saathi banana hai.


Zindagi ki raah mey, khud ko talaashna hai,

Aansoo oy key dariya tale, humko sukoon paana hai.


Raah mey yunhi chaltey-chaltey, kuch saathi to aayey they,

Jaaney-anjaaney mey hi par kyun pata, dil ki dhadkan wo bantey rahey,

Jab saans tooti aur dhadkan ruki, tab jaakey yeh samgha humey,

Insaan jo kuch bhi karega aye dost,

Vaapas sab uspey hi aana hai.


Zindagi ki raah mey, khud ko talaashna hai,

Aansoo oy key dariya tale, humko sukoon paana hai.

No comments:

Post a Comment